main to khud un k der ka gadha hun
- Waheed Ahmed
- Mar 2, 2015
- 1 min read
Main to khud Unke Dar ka gada hoon Apne Aaqa ko main naza
r kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon Aane waali hai Unki tareekh, Phool naaton ke ghar ghar saajja doon, Mere ghar mein andhera bohot hai, Apni palkon pe shamma jala doon Rauza-e-pak peshe nazar hai, Saamne mere Aaqa ka Dar hai, Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai, Tumko lafzon mein kaise bata doon Mere aansu bahut qeemti hain, Inse waabasta hai unki yaadein, Inki manzil hai Khak-e-Madinah, Ye gauhar yun hi kaise lutta doon Main faqat Aap ko jaanta hoon, Aur Ussi Dar ko pehchanta hoon, Is andhere mein kisko pukaroon, Aap farmayein kisko sadda doon Qaafilay jaa rahe hain Madine, Aur hasrat se main tak raha hoon, Ya lipat jaoon qadmon se unke, Ya qaza ko main apni sadda doon Meri bakhshish ka saamaan yahi hai, Aur dil ka bhi armaan yehi hai, Ek din Unki khidmat mein jaakar, Unki naatein Unhi ko suna doon Mujhko Iqbal Nisbat hai Unse, Jinka har Lafz jaan-e-sukoon hai, Main jahaan naat Unki suna doon, Saari mehfil ki mehfil jagga doon Main to khud Unke Dar ka gadda hoon, Apne Aaqa ko main nazar kya doon Ab to aankhon mein bhi kuch nahin hai, Warna qadmon mein aankhein bicha doon
Recent Posts
See Allدیدہ ور اقبالؒ ہزاروں سال نرگس اپنی بے نوری پہ روتی ہے بڑی مشکل سے ہوتا ہے چمن میں دیدہ ور پیدا (اقبال) واقعی چمن میں دیدہ ور بڑی...
" دسترخوان جھاڑنا بھی ایک فن ھے.. " حضرت مولانا سید اصغر حسین رحمتہ اللہ علیہ جو "حضرت میاں صاحب" کے نام سے مشہور تھے ' بڑے عجیب و غریب...
Comentários